jo sang ho ke mulaem hai sadgi ki tarah
pighal raha hai mire dil men chandni ki tarah
mujhe pukaro to divar huun suno to sada
main gunjta huun fazaon men ḳhamushi ki tarah
main us ko nuur ka paikar kahun ki jan-e-ḳhayal
jo mere dil pe utarta hai shairi ki tarah
kisi ki yaad ne mahka diya hai zaḳhm-e-talab
saba ke haath se masli hui kali ki tarah
thaka hua huun kisi saae ki talash men huun
bichhaḌ gaya huun sitaron se raushni ki tarah
main apne karb men ghaltan vo apne kaif men gum
hai is ki jiit bhi meri shikast hi ki tarah
ḳhizan ke zahr ka tiryak agar nahin yaaro
gulon ki baat hai be-vaqt ragni ki tarah
Leave a Reply