na aaya kabhi main tire astan par
bhaTakta raha bas yahan aur vahan par
tiri yaad ne dil to raushan kiya tha
lagaya magar qufl meri zaban par
kabhi fikr-e-farda kabhi yad-e-mazi
har ik din naya baar mujh na-tavan par
suna.i sar-e-anjuman jo thi tu ne
koi shaḳhs roya tha is dastan par
ise sha.iri tum kaho to kaho par
kahe sher main ne hain dil ki fughan par
‘zohaib’ ham mashaqqat se ghabra.e kab the
magar dil dukhi hai to kar-e-ziyan par
Leave a Reply