• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tirchhi Nazar Na Ho Taraf-E-dil To Kya Karun

Tirchhi Nazar Na Ho Taraf-E-dil To Kya Karun

poet

tirchhi nazar na ho taraf-e-dil to kya karun

laila ke na-pasand ho mahmil to kya karun

thahre na khun-baha su-e-qatil to kya karun

haq ho jo khud-bakhud mira batil to kya karun

ik rang ko jahan men nahin koi manta

har rang men rahun na main shamil to ya karun

pisvaun be-gunah jo dil ko hina ke saath

pursan-e-hal ho koi aadil to kya karun

parvana hone ki bhi ijazat nahin mujhe

alam-fareb hai tiri mahfil to kya karun

jaata gulu-burida bhi ud kar gulon ke paas

baazu gaya hai tod ke bismil to kya karun

laila ye kah ke jalva dikhati hai qais ko

udne lage jo parda-e-mahmil to kya karun

khud chahta huun zabt karun dard-e-shauq main

dil hi mira na ho mutahammil to kya karun

munh chuum luun ki gird phirun daud daud ke

ai dil jo haath rok le qatil to kya karun

dam rah-e-shauq-o-zauq men leta nahin kahin

is par bhi tai na ho jo ye manzil to kya karun

kyun-kar na jabr dil pe karun apne ikhtiyar

rahat men aa pade koi mushkil to kya karun

ik ik se puchhte hain vo aina dekh kar

maashuq paun pyaar ke qabil to kya karun

de duun main rah-e-ishq men jaan us ke naam par

na-char huun na ho koi saail to kya karun

tanke jigar ke zakhm men kyunkar lagane duun

gul tere baagh ka ho muqabil to kya karun

aane ko mana karte ho achchha na aunga

ye to kaho na maane mira dil to kya karun

shayad mujhe jamal dikha de vo ai kalim

nazzare ka na huun mutahammil to kya karun

mar jaun duub kar ‘sharaf’ us paar yaar hai

kashti na ho koi lab-e-sahil to kya karun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tu Apne Shahr-E-Tarab Se Na Puchh Haal Mera

Wo Tabassum Tha Jahan Shayad Wahin Par Rah Gaya

Kab Aaega Wo Shahzada Tauba Hai

Kisi Kei Mehrbani Ho Gai Hai

ajiz-matvi

Har-Su Jahan Mein Sham O Sahar dhundte Hain Hum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet