aisi vahshat pe main qurban bhi ho sakta huun
main jo dariya huun bayaban bhi ho sakta huun
hansne rone ke alava bhi rasa.i hai miri
main agar chahun to hairan bhi ho sakta huun
main ki jis ḳhaak men pamal hua jaata huun
main isi ḳhaak pe ehsan bhi ho sakta huun
mujh pe mushkil na bana guzri hui yadon ko
main tujhe bhuul ke asan bhi ho sakta huun
itne gham dete hue ye bhi na socha us ne
main kisi gham men pareshan bhi ho sakta huun
main ki jis shauq men abad huun ‘maqsud’ ‘vafa’
main usi shauq men viran bhi ho sakta huun
Leave a Reply