karta hai rahm kaun kisi be-gunah par
paḌte hain taziyane yahan dad-ḳhvah par
shikva hai bevafa.i-e-janan ka is qadar
ham mar chale hanuz na aa.e vo raah par
dil ḳhud hua asiir zanaḳhdan-e-yar men
laati hai tishnagi hi pyase ko chaah par
shabnam ko mahv karta hai jis tarah aftab
ya-rab nigah-e-mehr ho mere gunah par
ashiq pe rahm kar shah-e-ḳhuban agar hai tu
vajib hai shafqat-e-ghoraba badshah par
vo chehra-e-kitabi hai zulf-e-dota men yuun
mus.haf ko jaise rakhte hain dast-e-gavah par
Leave a Reply