• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dard Ghazal Mein Dhalne Se Katraata Hai

Dard Ghazal Mein Dhalne Se Katraata Hai

dard ghazal men Dhalne se katrata hai

ḳhali kaghaz meri hansi uḌata hai

kis chahat se qalam pakaḌ kar baiThe the

ab to ek bhi lafz nahin ban aata hai

aḌi-tirchhi lakiron se kab baat bani

shauq andha hai hava pe naqsh banata hai

kis ki sada.en mera ta.aqub karti hain

des nikale shaḳhs ko kaun bulata hai

yaden Tisen si ban kar rah jaati hain

guzra mausam phir kab lauT ke aata hai

kis ka rasta dekh rahe hain ghar ke kivaḌ

suuna suuna angan kise bulata hai

kin kin sahraon ki ḳhaak uḌani paḌi

dil bhi kaise kaise naach bachata hai

jhuTi sachchi jo ji chahe kahte jaao

kaun kisi ke dil men utra jaata hai

vaqt ki baat hai pyare chahe maan na maan

miTha kaḌva sab sunna paḌ jaata hai

mere aage bhaag rahe hain chand ‘riyaz’

mere pichhe mera saaya aata hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ai Ishq-E-Be-Niyaz Ye Kya Inqilab Hai

zafar-iqbal

Girne Ki Tarah Ka Na Sambhalne Ki Tarah Ka

poet

Nazar-Nawaz Hai Husn-E-KHajista-Pai Ab Bhi

poet

Yun Paband-E-Salasil Ho Kar Kaun Phire Bazaron Mein

faiz-ahmad-faiz

Kis Harf Pe Tu Ne Gosha-E-Lab Ai Jaan-E-Jahan Ghammaz Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet