tere hisse ke bhi sadmat utha leta huun
aa tujhe aankhon pe ai raat utha leta huun
aam sa shakhs bachega tu agar main tere
khal-o-khad se ye tilismat utha leta huun
tu ne ai ishq ye socha ki tira kya hoga
tere sar se main agar haath utha leta huun
ye agar jang-e-mohabbat hai mire yaar to phir
aisa karta huun ki main maat utha leta huun
us ke lahje men darad aati hai aur main usi vaqt
khvab rakh deta huun khadshat utha leta huun
Leave a Reply