mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir
abhi phir dard tapkega miri avaz se akhir
abhi phir aag utthegi shikasta saaz se akhir
mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir
abhi to husn ke pairon pe hai jabr-e-hina-bandi
abhi hai ishq par ain-e-farsuda ki pabandi
abhi haavi hai aql o ruuh par jhuti khudavandi
mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir
abhi tahzib-e-adl-o-haq ki kashti khe nahin sakti
abhi ye zindagi dad-e-sadaqat de nahin sakti
abhi insaniyat daulat se takkar le nahin sakti
mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir
abhi to kaenat auham ka ik kar-khana hai
abhi dhoka haqiqat hai haqiqat ik fasana hai
abhi to zindagi ko zindagi kar ke dikhana hai
mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir
abhi hain shahr ki tarik galiyan muntazir meri
abhi hai ik hasin tahrik-e-tufan muntazir meri
abhi shayad hai ik zanjir-e-zindan muntazir meri
mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir
abhi to faqa-kash insan se anhken milana hai
abhi jhulse hue chehron pe ashk-e-khun bahana hai
abhi pamal-e-jaur aadam ko siine se lagana hai
mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir
abhi har dushman-e-nazm-e-kuhan ke giit gaana hai
abhi har lashkar-e-zulmat-shikan ke giit gaana hai
abhi khud sarfaroshan-e-vatan ke giit gaana hai
mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir
koi dam men hayat-e-nau ka phir parcham uthata huun
ba-ima-e-hamiyyat jaan ki baazi lagata huun
main jaunga main jaunga main jaata huun men jaata huun
mujhe jaana hai ik din teri bazm-e-naz se akhir