baḌhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai
jahan hamare qadam hain vahin zamana hai
ye husn-o-ishq ki tafriq ik bahana hai
kahin nazar ko kahin dil ko azmana hai
ab is junun-e-talab ka koi Thikana hai
ki apne aap ko kho kar bhi un ko paana hai
bas ek ishq hi aisa sharab-ḳhana hai
jahan surur ka mafhum hosh aana hai
ilahi tamkanat-e-husn-o-naz-e-husn ki ḳhair
kuchh aaj ishq ka andaz valihana hai
main har gunah ki haqiqat bata to duun sar-e-hashr
magar unhen jo har ilzam se bachana hai
zara junun-e-tamanna se dil guzar jaa.e
phir is ke baad koi daam hai na daana hai
main janta huun jo hai farq-e-zat-o-partav-e-zat
miri nigah pas-e-parda-e-zamana hai
kise nasib ho sajda ye aur baat hai ‘kaif’
har ik jabin ke qarib un ka astana hai
Leave a Reply