ek ladki bagharti hai daal
daal karti hai arz yuun ahval
ek din tha hari-bhari thi main
saari afat se bari thi main
tha hara khet mera gahvara
vo vatan tha mujhe bahut pyara
paani pi pi ke thi main lahrati
dhuup leti kabhi hava khati
menh barasta tha jhonke aate the
godiyon men mujhe khilate the
yahi suraj zamin the maan baava
mujh se karte the nek bartava
jab kiya mujh ko pal-pos bada
aah zalim kisan aan pada
gai taqdir yak-ba-yak jo palat
khet ka khet kar diya talpat
khuub luuta dhadi dhadi kar ke
mujh ko gaunon men le gae bhar ke
ho gai dam ke dam men barbadi
chhin gai haae meri azadi!
kya bataun kahan kahan khincha
dal-mandi men mujh ko ja becha
ek zalim se vaan pada paala
jis ne chakki men mujh ko dal daala
hua taqdir ka likha puura
donon paton ne kar diya chura
na suni meri aah aur zaari
khuub baniye ne ki kharidari
chhana chhalni men chhaj men phatka
qaid-khana mira bana matka
phir muqaddar mujhe yahan laaya
tum ne to aur bhi ghazab dhaya
khaal khinchi alag kiye chhilke
zakhm kyun-kar hare na hon dil ke
dalin marchen namak lagaya khuub
rakh ke chulhe pe ji jalaya khuub
us pe kaf-gir ke bhi thoke hain
aur nakhun ke bhi kachoke hain
mere galne ki le rahi ho khabar
daant hai aap ka mire uupar
garm ghi kar ke mujh ko daagh diya
haae tum ne bhi kuchh na rahm kiya
haath dho kar padi ho pichhe tum
jaan par aa bani havas hain gum
achchhi bi-bi tumhin karo insaf
zulm hai ya nahin qusur-muaf
kaha ladki ne meri pyari daal
mujh ko maalum hai tira sab haal
tu agar khet se nahin aati
khaak men mil ke khaak ho jaati
ya koi gaae bhains char leti
pet men apne tujh ko bhar leti
main to rutba tira badhati huun
ab chapati se tujh ko khati huun
na satana na ji jalana tha
yuun tujhe aadmi banana tha
agli biiti ka tu na kar kuchh gham
mehrbani thi sab, na tha ye sitam
Leave a Reply