Bahut Dinon Se Hai Ji Mein Sawal Puchhunga

bahut dinoñ se hai jī meñ savāl pūchhūñgā

maiñ tere aa.ine se terā haal pūchhūñgā

bahut hasīñ hai ye duniyā magar zavāl ke saath

ḳhudā se hashr meñ husn-e-zavāl pūchhūñgā

sukūt-e-shām se kyuuñ nisbat-e-tabī.at hai

sukūt-e-shām se vaj.h-e-malāl pūchhūñgā

tū be-misāl hai terī misāl kyā pūchhūñ

maiñ kuchh nahīñ magar apnī misāl pūchhūñgā

mirā ḳhayāl hai merī nigāh meñ hai jamāl

tire jamāl kā kyā hai ḳhayāl pūchhūñgā

ḳharāb aks haiñ shīsha-ba-dast kyuuñ saaqī

qusūr-e-bāda-e-jām-e-sifāl pūchhūñgā

fazā udaas hai jañgal kī saa.eñ saa.eñ hai ‘shāz’

maiñ kis se vahshat-e-chashm-e-ġhazāl pūchhūñgā

Leave a Comment