• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aankhen Hain surKH honT Siyah Rang Zard Hai

Aankhen Hain surKH honT Siyah Rang Zard Hai

ankhen hain surḳh honT siyah rang zard hai

har shaḳhs jaise mere qabile ka fard hai

jab main na tha to meri zamane men guunj thi

ab main huun aur saare zamane ka dard hai

suraj men aaj jitni tapish hai kabhi na thi

kya kijiye ki ḳhuun hi rag o pai men sard hai

ham kis safar pe nikle ki shaklen badal ga.iin

chehre pe jis ke dekho masafat ki gard hai

chalta rahe jo abla-pa.i ke bavajud

manzil ka mustahiq vahi sahra-navard hai

aisa na ho sahar meri bina.i chhin le

bedariyon se ab miri ankhon men dard hai

bikhra hua huun ḳhvahish-o-hasrat ke darmiyan

jaise mira vajud abhi fard fard hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akbar-allahabadi

duniya Mein Hun duniya Ka Talabgar Nahin Hun

parveen-shakir

Nae Sal Ki Pahli Nazm

Dam-Ba-Dam Ek Sath baiThe Hain

Nigahon Ka Tera Wo Ehtiram Rakh Dena

Ai Saba Nikhat-E-Gesu-E-Muambar Lana

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet