• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Nahin Kahta Ki Dobara Wahi Aawaz De

Ye Nahin Kahta Ki Dobara Wahi Aawaz De

ye nahin kahta ki dobara vahi avaz de

koi asani to paida kar koi avaz de

main use sun kar bhi aane ka nahin majbur huun

phir bhi apne ḳhvab-ḳhane se kabhi avaz de

ho sake donon zamanon men ham-ahangi koi

main purana huun to kya mujh ko na.i avaz de

maut ke sahil par istada huun to mujh ko kahin

zindagi ke paniyon men Dubti avaz de

Thiik hai tu ne pukara hoga jis-tis ko magar

mere hisse men koi aa.i hui avaz de

bin bulaya hi chala a.unga main shayad kabhi

lekin itne shor men to aap bhi avaz de

main use pahchan hi pa.un na pahli baar to

koi avazon ke jangal men ghiri avaz de

munh se kuchh kah to sahi is ḳhamushi ke ar-par

mustaqil ko chhoḌ koi sarsari avaz de

tu ne to har haal men sunna hai ab tujh ko ‘zafar’

raushni avaz de ya tirgi avaz de

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Har-Chand Mere Haal Se Wo Be-KHabar Nahin

maryam-naz

Tabinda Bahaaron Ke Nazare Nahin dekhe

Roz Hawa Mein uDne Ki Farmaish Hai

Usne Bikhre Kaghazon Ko Chhu Ke Sandal Kar Diya

Uqde Ulfat Ke Sab Ai Rashk-E-Qamar Khol Diye

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet