nigāh-e-mast meñ kyā rañg-e-vālihāna thā
surūr-o-kaif meñ Duubā huā zamāna thā
kisī kī uThtī javānī kā jab zamāna thā
mirī nigāh kā har fe.al shā.irāna thā
sitam-nasīb kī allāh re soḳhta baḳhtī
hai bijliyoñ kā nasheman jo āshiyāna thā
azal se qaid-e-anāsir atā huī mujh ko
mire nasīb meñ zindāñ kā āb-o-dāna thā
vufūr-e-dard se jab hichkiyāñ sī aane lagīñ
har ek zaḳhm ke lab par mirā fasāna thā
shurū-e-ishq meñ kyā merī shā.irī thī na pūchh
falak pe murġh-e-taḳhayyul kā āshiyāna thā
vatan meñ hazrat-e-‘altāf’ zindagī apnī
bahār ḳhuld-e-mohabbat kā ik fasāna thā