• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kyun Naseha Udhar Ko Na Munh Kar Ke Soiye

Kyun Naseha Udhar Ko Na Munh Kar Ke Soiye

poet

kyuun naseha udhar ko na munh kar ke soiye

dil to kahe hai saath hi dilbar ke soiye

ghabra ke us ka kahna vo haae shab-e-visal

bas bas zara ab aap to hat kar ke soiye

main aap se khafa huun ki tum ruthe ho pade

bohtan mere sar pe na yuun dhar ke soiye

sote men bhi jo dekhiye to chaunk hi uthe

kis tarah saath aise sitamgar ke soiye

tum lutf-e-nashsha dekho zara tum ko dekhen ham

kya lutf hai ki lete hi saghar ke soiye

mashhur hai ki suuli pe bhi niind aati hai

ya-rab shab-e-firaq men kyunkar ke soiye

takiya to aap sar ke tale roz rakhte hain

ab haath mere rakh ke tale sar ke soiye

vo muskura rahe ho lo vo aankh khul gai

yuun kaun manta hai ki jag kar ke soiye

pas-e-adu to dekho hamen hukm hai ‘nizam’

shab ko kahen na paas mire ghar ke soiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zawal-E-Husn Ko Husn-E-Nigar Kya Jaane

Lams Ko chhoD Ke KHushbu Pe Qanaat Nahin Karne Wala

ismail-merathi

Sunoge Mujhse Mera Majra Kya

Raushni Mein Kis Qadar Diwar-O-Dar Achchhe Lage

Rahzan Nahin Harif Nahin Ham-Safar Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet