minnaten karta tha ruk jaao mira koi nahin
mere roke se magar kaun ruka koi nahin
dost mashuq sanam aur ḳhuda koi nahin
main to sab ka huun par afsos mira koi nahin
ab to lazim hai ki vo shaḳhs mira ho jaa.e
ab to duniya men mira us ke siva koi nahin
umr bhar saath nibhane ka ye va.ada haa.e
umr bhar saath bhala koi raha koi nahin
mere maula ye tire saat arab logon men
koi bhi mera nahin hai ba-ḳhuda koi nahin
bevafa.i ko baḌa jurm batane vaale
yaad hai tu ne bhi chal chhoḌ haTa koi nahin
main bhi qaa.il huun tiri charagari ka lekin
ik maraz aisa bhi hai jis ki dava koi nahin
Leave a Reply