Raushni Bhar KHala Pe Bar the Hum

raushnī bhar ḳhalā pe baar the ham

dhund manzar pas-e-ġhubār the ham

dhuup meñ aa.e to sukūn milā

chhāñv meñ the to dāġhdār the ham

koī dastak na koī aahaT thī

muddatoñ vahm ke shikār the ham

but-garī meñ hunar bhī shāmil thā

sañg-sāzī se hoshiyār the ham

qarz koī bhī jism o jaañ pe na thā

zindagī par magar udhār the ham

zulmateñ to charāg-e-ḳhema thiiñ

ḳhalvatoñ ke gunāhgār the ham

fikr o ma.anī talāzme tashbīh

ai ġhazal tere jāñ-nisār the ham

‘rind’ thā bekasī kā lutf ajiib

ghar meñ rah kar bhī be-dayār the ham

Leave a Comment