kab tak vo mohabbat ko nibhata nazar aata
ab main bhi nahin jaan se jaata nazar aata
tum to miri har samt havaon ki tarah ho
mausam koi furqat ka jo aata nazar aata
hai raushni itni ki dikha.i hi na kuchh de
varna hamen is taaq men daata nazar aata
chalti zara tezi se hava to main patangen
kuchh aur bulandi pe uḌata nazar aata
manzar men tajassus hai na jaadu na kashish hai
hote to ye vo ḳhvab dikhata nazar aata
main vaqt ki suui se bandha rahta huun varna
sahra men bahut ret uḌata nazar aata
aao zara is samt se dekho vo zamin hai
har ek hai duuje ko miTata nazar aata
‘zishan’ buton men jo koi zindagi hoti
main sab se zabardast banata nazar aata
Leave a Reply