mata-e-pas-e-vafa kho nahin sakunga main
kisi ka tere siva ho nahin sakunga main
sada rahega tar-o-taza shaḳh-e-dil par tu
fuzul ranj ki kuchh bo nahin sakunga main
tu anhken muund le to niind aa.e mujh ko bhi
tu janta hai ki yuun so nahin sakunga main
mujhe virasat-e-gham se bhi aaq kar Daala
ye kaisa lutf ki ab ro nahin sakunga main
bahut hasin hai jahan, zindagi bhi ḳhuub magar
mazid bar-e-nafas Dho nahin sakunga main
Leave a Reply