main hi kashti bhi huun mallah bhi tufan bhi huun
aur ab Duub raha huun to pareshan bhi huun
main jo auron ko dikhata huun is a.ine men
apna chehra nazar aaya hai to hairan bhi huun
haal ye kaisa faqiron sa bana rakkha hai
kaun kah dega kisi vaqt ka sultan bhi huun
baryabi ki tamanna men paḌa huun dar par
baiTha hota to samajh leta ki darban bhi huun
be-bula.e chala aata main na kahta tujh se
aaj to mehrban ho ja tira mehman bhi huun
aaj tak meri ghazal ne nahin pahchana mujhe
jabki sha.ir hi nahin sahab-e-divan bhi huun
Leave a Reply