vo ek raat ki gardish men itna haar gaya
libas pahne raha aur badan utaar gaya
hasab-nasab bhi kira.e pe log laane lage
hamare haath se ab ye bhi karobar gaya
use qarib se dekha to kuchh shifa paa.i
ka.i baras men mire jism se buḳhar gaya
tumhari jiit ka matlab hai jang phir hogi
hamari haar ka matlab hai intishar gaya
tu ek saal men ik saans bhi na ji paaya
main ek sajde men sadiyan ka.i guzar gaya
Leave a Reply