husn alfaz ke paikar men agar aa sakta
kaisa hota hai ḳhuda tum ko main dikhla sakta
is safar pe huun ki halkan hua jaata huun
aur kahan jaana hai ye bhi nahin batla sakta
harna bhi hai yaqini pe miri fitrat hai
ek hi chaal hamesha nahin dohra sakta
zindagi ab tu mujhe aur khilaune la de
aaise ḳhvabon se to main dil nahin bahla sakta
main bhi taqdir ke likkhe pe yaqin le aata
vaqt ik baar jo us se mujhe milva sakta
Leave a Reply