khinch ke mahbub ke daman ki taraf
aa ga.e aur bhi uljhan ki taraf
tum chhupate raho kitna us ko
bijliyan a.engi ḳhirman ki taraf
har taraf nuur ka taḌka dekha
kaun aaya mire angan ki taraf
ai chaman vaalo rukun ya ja.un
ik dhuan sa hai nasheman ki taraf
ḳhair-maqdam ko jhukengi shaḳhen
ik zara aao to gulshan ki taraf
‘arsh’ kis dost ko apna samjhun
sab ke sab dost hain dushman ki taraf
Leave a Reply