sharāb-o-shīsha-o-sāġhar subū-o-paimāna
fidā-e-nīm-nigāhī tamām mai-ḳhāna
qadam qadam pe mashiyyat ne paañv chūme haiñ
ye kis maqām se guzrā hai terā dīvāna
kabhī kabhī to haram kyā hai but-kada kyā hai
maiñ tere dar se bhī guzrā huuñ be-niyāzāna
usī ke dam se hai raushan harīm-e-ka.aba-e-dil
ḳhudā kare ki na gul ho charāġh-e-but-ḳhāna
jamāl-e-yār jhalaktā hai ‘ārzū’ jis meñ
mirī ġhazal hai vo rañgīn ā.ina-ḳhāna