ab kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad hua
is dil ki jhiil si ankhon men ik khvab bahut barbad hua
ye hijr-hava bhi dushman hai is naam ke saare rangon ki
vo naam jo mere honton par khushbu ki tarah abad hua
us shahr men kitne chehre the kuchh yaad nahin sab bhuul gae
ik shakhs kitabon jaisa tha vo shakhs zabani yaad hua
vo apne gaanv ki galiyan thiin dil jin men nachta gaata tha
ab is se farq nahin padta nashad hua ya shaad hua
benam sataish rahti thi in gahri sanvli ankhon men
aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna bedad hua
Leave a Reply