
Poet
bas dekh raha huun mira paimana kahan hai
allah miri jur.at-e-rindana kahan hai
paḌ jaa.en na us par gham-e-duniya ki nigahen
ai bhulne vaale mira afsana kahan hai
ab mujh ko dikha.e na ḳhuda hosh ka aalam
vo puchh rahe hain mira divana kahan hai
mujh rind-e-alasti ko kahan hosh ki dekhun
ka.aba hai kidhar aur sanam-ḳhana kahan hai
saaqi tiri mahfil se nahin ja.enge kya ye
la barhaman-o-shaiḳh ka nazrana kahan hai
ye to haram-o-dair hain chalti hai jahan tegh
chalte hain jahan jaam vo mai-ḳhana kahan hai
tum ‘shauq’ baja kahte ho lekin ye batao
duniya men sab apne hain to begana kahan hai

Leave a Reply