
Poet
vo naqsh-e-pa hain koi dusra chale to gire
tire qadam pe tira ashna chale to gire
mujhe hai ilm-e-taḳhayyul ki tez-gami ka
tire ḳhayal men baiTha hua chale to gire
na sochi baat jo tu ne vo likh na ja.un kahin
qalam ye tere liye sochta chale to gire
qubul kar liya qabron ne saari lashon ko
yahan nigah koi ab uTha chale to gire
ye be-ḳhudi men sambhalna to sahl hai ‘aḳhtar’
hamari raah koi parsa chale to gire

Leave a Reply