• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / chaTak Ke Ghunche Sunate Hain Kis Ka Afsana

chaTak Ke Ghunche Sunate Hain Kis Ka Afsana

chaTak ke ghunche sunate hain kis ka afsana

ye kaun aa gaya gulshan men be-hijabana

hamara hausla-e-dil agar salamat hai

badal hi denge kisi din nizam-e-mai-ḳhana

na hosh aa.ega us ko tire karam ke baghair

tiri talash men jo ho gaya hai divana

yahi hai maslahat-e-vaqt sab ko Thukra duun

mujhe samajhti hai duniya to samjhe divana

kisi ke husn ki tabaniyon ka kya kahna

nigahen ho ga.iin qurban misl-e-divana

vahin main josh-e-haqiqat men sar jhuka dunga

jahan milega mujhe naqsh-e-pa-e-janana

nasihat aap ki hai to baja magar naseh

vo kya kare ki hai jis ka mizaj rindana

vo jab se mere tasavvur men aa.e hain ‘kashfi’

bana hua hai tajalli-kada ye kashana

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bazgasht Chaar-Su Sadaon Ki

baDhti Jati Hai KHayalon Ki Thakan aaKHir-E-Shab

ismail-merathi

Badla Nahin Koi Bhes Na-Chaari Se

muKhaalif Jab Se Aaina Hua Hai

Koi to Rah Sujha Dur Tak Andhera Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet