falak un se jo badh kar bad-chalan hota to kya hota
javan se pesh-rau pir-e-kuhan hota to kya hota
musallam dekh kar yaqub murde se hue bad-tar
jo yusuf ka darida pairahan hota to kya hota
hamara koh-e-gham kya sang-e-khara hai jo kat jaata
agar mar mar ke zinda kohkan hota to kya hota
ata ki chadar-e-gard us ne apne marne valon ko
hui khilqat ki ye surat kafan hota to kya hota
nigah-ban jal gae chaar ankhen hote dekh kar us se
kalim aasa kahin vo ham-sukhan hota to kya hota
bada bad-ahd hai is shohrat-e-ifa-e-vada par
agar mash.hur tu paiman-shikan hota to kya hota
muqaddar men to likkhi hai gadai ku-e-janan ki
agar ‘afsar’ shahanshah-e-zaman hota to kya hota
Leave a Reply