• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Zist Be-Waada-E-Anwar-E-Sahar Hai Ki Jo Thi

Zist Be-Waada-E-Anwar-E-Sahar Hai Ki Jo Thi

ziist be-va.ada-e-anvar-e-sahar hai ki jo thi

zulmat-e-baḳht ba-har-rang-o-nazar hai ki jo thi

ishq barbad-kun-e-rahat-e-dil hai ki jo tha

shoḳhi-e-dost ba-andaz-e-digar hai ki jo thi

aaj bhi koi nahin puchhta ahl-e-dil ko

aaj bhi zillat-e-arbab-e-nazar hai ki jo thi

ḳhud-parasti ka rivaj aaj bhi hai aam ki tha

rasti aaj bhi mohtaj-e-asar hai ki jo thi

aaj bhi jazba-e-iḳhlas pareshan hai ki tha

aaj bhi dida-vari ḳhak-basar hai ki jo thi

aaj bhi ilm-o-hunar ki nahin koi vaq.at

ab bhi na-qadri-e-as.hab-e-hunar hai ki jo thi

aaj bhi mehr-o-vafa ki nahin qimat koi

aaj bhi manzilat-e-kisa-e-zar hai ki jo thi

kamrani pe hai nazan havas-e-hech madar

ashiqi aaj bhi ba-dida-e-tar hai ki jo thi

ruh-e-iḳhlas to dar-band hai be-pursish-e-hal

midhat-e-husn sar-e-rahguzar hai ki jo thi

saf-goi ko samajhte hain yahan aib ab bhi

zehniyat aaj bhi aluda-e-shar hai ki jo thi

asp-e-tazi ko mayassar nahin chara ‘sho.ala’

aur tan-zebi-o-ara.ish-e-ḳhar hai ki jo thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Chehre Se Gham Aaankhon Se Hairani Na Jaegi

poet

Na KHuda Hai Na naKHuda Hai Koi

Yun Ganwata Hai Koi Jaan-E-Aziz

zehra-nigaah

Mazi Aur Haal

Sochi Thi Jo Wo Jurm-O-Saza Tak Pahunch Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet