tujh ko ma.alum nahin kya hai tiri yadon se
ek anjan sa rishta hai tiri yadon se
raat bechain si sardi men ThiThurti hai bahut
din bhi har roz sulagta hai tiri yadon se
hijr ke gham ne mujhe maar diya tha to kya
mar ke jiina bhi to sikha hai tiri yadon se
aaj phir se jo hua qaid to ye sochun huun
kal hi socha tha ki bachna hai tiri yadon se
aise shamil tha main tujh men ki baḌi mushkil se
main ne ab ḳhud ko nikala hai tiri yadon se
kya bata.en ki yahan kaise guzari ham ne
apni har saans ko sincha hai tiri yadon se
‘mit’ yadon ne bhi kitna hai sataya mujh ko
mira takiya baḌa bhiga hai tiri yadon se
Leave a Reply