dilbari har bul-havas ki had siin afzun mat karo
muflis-e-be-qadr kuun yak-pal men qarun mat karo
mat chadhao astin tum qatl karne par mire
apne daman kuun abas aluda-e-khun mat karo
mehrbani ki tarah pahli na bhulo yak-ba-yak
bait-e-abru kuun tum apni taaza mazmun mat karo
lazzat-e-masti agar dil kuun tumhare hai aziiz
jab talak divana hue tab lag falatun mat karo
apne ashiq kuun dikhao jalva-e-iman-fareb
aql ki rakhta hai bu zahid kuun majnun mat karo
kar diye hain ashiqon ne khuun apne kuun sabil
panja-e-nazuk kuun mehndi laala gulgun mat karo
chhod diyo ta-atish-e-hasrat men jal kar khaak hoe
lasha-e-ashiq kuun marne baad madfun mat karo
ashiqon kuun is do-bala kaif ki bardasht naiin
khat ki sabzi lab ki shakkar saath maajun mat karo
khud-bakhud be-khud hua hai dekh kar tum kuun ‘siraj’
is qadar naz-o-ada ka sehr-o-jadu mat karo
Leave a Reply