laakh laakh ehsan jis ne dard paida kar diya
jis ne is dil ko hatheli ka phaphula kar diya
dekhna maghrib ki janib ye shafaq ka phulna
dubte suraj ne sone men suhaga kar diya
zindagi aur maut men ik umr se thi kashmakash
vaqt par do hichkiyon ne paak jhagda kar diya
ik sharara sa qarib-e-shama ja kar mil gaya
atish-e-parvana ne shole ko duuna kar diya
bulbul-e-tasvir huun ab bolna hai nagavar
teri is hangama arai ne chupka kar diya
is ko kahte hain lagi parvane jal bujh duub mar
rote rote shama ne akhir savera kar diya
de diya ankhen lada kar is pari-paikar ne jaam
main nashe men chuur tha hi aur andha kar diya
kya girami hastiyan hain hazrat-e-‘usman’-o-‘shad’
‘shair’ in donon ne duniya men ujala kar diya
Leave a Reply