ye duniya ani-jani hai koi daa.im nahin rahta
sada ḳhushiyan nahin rahtin hamesha gham nahin rahta
lahu ko garm rakhti hai masa.il ki giran-bari
dil-e-murda use kahiye ki jis men gham nahin rahta
yahi basti hai jis ke har gali kuche se nisbat thi
magar ab yaan koi hamdam koi mahram nahin rahta
nikal ab apne maskan se muqaddar hai tira hijrat
ki dariya apne maḳhraj par bhi to qaa.em nahin rahta
badalti rahti hain qadren badal jaati hain tahziben
zamana ek maslak par sada qaa.em nahin rahta
zabanen irtiqa ki manzilon se jab guzarti hain
bahut se lafz kaT jaate hain jin men dam nahin rahta
‘sarosh’ aḳhir yahan kis kis ke dar par dastaken doge
yahan aghyar baste hain koi mahram nahin rahta
Leave a Reply