juz nihal-e-arzu siine men kya rakhta huun main
koi bhi mausam ho ye pauda hara rakhta huun main
varna kya bandhan hai ham men kaun si zanjir hai
bas yunhi tujh par miri jaan maan sa rakhta huun main
kar-e-duniya ko bhi kar-e-ishq men shamil samajh
is liye ai zindagi teri pata rakhta huun main
main kisi mushkil men tujh ko dekh sakta huun bhala
dil-girafta kis liye hai dil baḌa rakhta huun main
be-niyazi ḳhu sahi teri magar ye dhyan rakh
lauT jaane ka abhi ik rasta rakhta huun main
Leave a Reply