Sarka Diya Naqab Ko khiDki Ne KHwab Mein

sarkā diyā naqāb ko khiḌkī ne ḳhvāb meñ

sūraj dikhā.ī de shab-e-ḳhāna-ḳharāb meñ

tujh aisī narm garm ka.ī laḌkiyoñ ke saath

maiñ ne shab-e-firāq Dubo dī sharāb meñ

āñkheñ ḳhayāl ḳhvāb javānī yaqīn saañs

kyā kyā nikal rahā hai kisī ke hisāb meñ

qaidī banā liyā hai kisī huur ne mujhe

yūñhī maiñ phir rahā thā dayār-e-savāb meñ

māyūs āsmāñ abhī ham se nahīñ huā

ummīd kā nuzūl hai khilte gulāb meñ

dekhūñ varaq varaq pa ḳhad-o-ḳhāl nuur ke

sūraj-sifat rasūl haiñ sub.h-e-kitāb meñ

sīsa-bharī samā.ateñ be-shak magar baḌā

shor-e-barahnagī hai sukūt-e-naqāb meñ

Leave a Comment