• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai

Teri Ulfat Ko Jaga Rakkha Hai

teri ulfat ko jaga rakkha hai

dil men tufan uTha rakkha hai

ranj-o-rahat hain gile-shikve hain

kaisa ghar-bar saja rakkha hai

us ka ehsan ki us ke dil ne

fasla ham se sada rakkha hai

vaqt kyuun ret sa phisla jaa.e

ham ne muTThi men daba rakkha hai

samne rahte hue bhi us ne

ḳhud ko parde men chhupa rakkha hai

shaad har pal hain ki ham ne dil ko

ḳhugar-e-dard bana rakkha hai

ḳhaar hai jis ki zaban us ne bhi

ghar ko phulon se saja rakkha hai

koi jumbish pas-e-parda ho kabhi

sar tire dar se laga rakkha hai

vo bhi kya dil hai ki jis men ‘anjum’

naam rakkha na pata rakkha hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdullah-javed

Hum Kya Kahen Ki Aabla-Pai Se Kya Mila

Hum Ko Aisa Guman Hone Laga

Is Baat Ka Malal Nahin Hai Ki Dil Gaya

Ghash Bhi Aaya Meri Pursish Ko Qaza Bhi Aai

afsar-mahpuri

Wo Hamari Samt Apna Rukh Badalta Kyun Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet