safar men tira-shabi ke azaab itne hain
isi liye to pareshan khvab itne hain
jidhar bhi dekhiye dasht-e-tahayyurat sa hai
jidhar bhi jaiye ab inqalab itne hain
tumhare saath chalen ham ne barha socha
hamari jaan ko lekin azaab itne hain
qadam qadam pe hai imkan fareb ka yaaro
nazar nazar men yahan to sarab itne hain
abhi hai duur har ik mahfil-e-tarab se ‘sukhan’
dil-o-nazar men abhi iztirab itne hain
Leave a Reply