vo nik.hat-e-gesu phir ai ham-nafasan aa.i
ab dam men dam aaya hai ab jaan men jaan aa.i
har tanz pe rindon ne sar apna jhukaya hai
us par bhi na vaa.iz ko tahzib-e-mughan aa.i
jab bhi ye ḳhayal aaya kya dair hai kya kaaba
naqus-e-barhaman se avaz-e-azan aa.i
us shoḳh ki baton ko dushvar hai dohrana
jab bad-e-saba aa.i ashufta-bayan aa.i
urdu jise kahte hain tahzib ka chashma hai
vo shaḳhs mohazzab hai jis ko ye zaban aa.i
ye ḳhanda-e-gul kya hai ham ne to ye dekha hai
kaliyon ke tabassum men chhup chhup ke fughan aa.i
abad ḳhayal us ka shadan rahe yaad us ki
ik dushman-e-dil aaya ik afat-e-jan aa.i
ash.ar-e-‘ravish’ sun kar tausif o sata.ish ko
‘sadi’ ka bayan aaya ‘hafiz’ ki zaban aa.i
Leave a Reply