log rubber-band ki tarah
hathon pe
chadhae ja sakte hain
pahne ja sakte hain
pairon men
kaghaz chhoti chhoti goliyon men
tabdil kiye ja sakte hain
jinhen
jab chaho divar pe de maaro
un ko kude-dan men phenka ja sakta hai
jaale aur vahshat utari ja sakti hai kamron ki
itni bhayanak aur nokili hain
un ki avazen
jo surakh kar deti hain
divar ke kanon men
log apni lambi zabanon ka burada
bhar dete hain un surakhon men
jo tah-khanon men ja nikalte hain
tah-khanon ke zinon par
kaali satren hain
chiyuntiyon ki
aur makdi ki aali naslen
jo thuuk se shamiyane bunti hain
makdi ke jaale kaali satren aur log
ek hi ghar men rahte hain
lekin anjan rahte hain
ek dusre ke namon se
is liye bahal nahin ho paate
un ke sifarati taalluqat
rakhi rah jaati hain konon khudron men
zehni ham-ahangi ki saari filen
aur log
rubber-band ki tarah un par
chadh jaate hain
Leave a Reply