rang jazbat men bhar jaane ko ji chahta hai
kaam ik pyara sa kar jaane ko ji chahta hai
dasht-e-tarik to ik umr hui chhan liya
ab to suraj ke nagar jaane ko ji chahta hai
ruuh men ḳhvahishen itni hain ki jiina chahun
karb itna hai ki mar jaane ko ji chahta hai
ḳhauf-e-ehsas-e-nadamat ko miTane ke liye
raat Dhal jaa.e to ghar jaane ko ji chahta hai
dard rag rag men kuchh is tarah utar jaata hai
zindagi se bhi mukar jaane ko ji chahta hai
shayad is tarah mile apni haqiqat ka suragh
aap apne men utar jaane ko ji chahta hai
Leave a Reply