main khaak men mile hue gulab dekhta raha
aur aane vaale mausamon ke khvab dekhta raha
kisi ne mujh se kah diya tha zindagi pe ghaur kar
main shakh par khila hua gulab dekhta raha
khada tha main samundaron ko ok men liye hue
magar ye shakhs ajiib tha sarab dekhta raha
vo us ka mujh ko dekhna bhi ik tilism tha magar
main aur ik jahan pas-e-naqab dekhta raha
vo gahri niind soi thi main niind se lada hua
so raat bhar sahab o mahtab dekhta raha
siyah raat men rafiq dushmanon se ja mile
main hauslon ki tutti tanab dekhta raha
Leave a Reply