kisi ka tiir kisi ki kaman ho Thiik nahin
tumhare munh men kisi ki zaban ho Thiik nahin
jo ḳhaak hona muqaddar hai apna rang hai ḳhuub
tamam umr dhuan hi dhuan ho Thiik nahin
tu mil saka bhi to kya aur na mil saka bhi tu kya
ḳhayal-e-sud malal-e-ziyan ho Thiik nahin
ghaneri raat ghana dasht ghor tanha.i
kahin pe koi ḳhayal-e-aman ho Thiik nahin
Leave a Reply