badal saka na juda.i ke gham uTha kar bhi
ki main to main hi raha tujh se duur ja kar bhi
main saḳht-jan tha is karb se bhi bach nikla
main ji raha huun tujhe haath se ganva kar bhi
ḳhuda kare tujhe duuri hi raas aa jaa.e
tu kya karega bhala ab yahan par aa kar bhi
abhi to mere bikharne ka khel baaqi hai
main ḳhush nahin huun abhi apna ghar luTa kar bhi
main us ko sat.h se mahsus kar ke bhi ḳhush huun
vo mutma.in hi nahin meri tah ko pa kar bhi
abhi tak us ne koi bhi to faisla na kiya
vo chup hai mujh ko har ik tarah aazma kar bhi
usi hujum men laḌ-bhiḌ ke zindagi kar lo
raha na ja.ega duniya se duur ja kar bhi
vo log aur hi the jin ka ijz phal laaya
hamen to kuchh na mila apne ko miTa kar bhi
khula ye bhed ki tanha.iyan hi qismat hain
ik umr dekh liya mahfilen saja kar bhi
ghazal kahe pe bhi sochon ka bojh kam na hua
sakun na mil saka ahval-e-dil suna kar bhi
ruka na zulm mire raakh banne par bhi ‘riyaz’
hua ki ḳhu to vahi hai mujhe jala kar bhi
Leave a Reply