aankh be-qabu hai duniya ki tarah
dil hai pahlu men tamanna ki tarah
koi avaz koi guunj nahin
vaqt chup-chap hai sahra ki tarah
tu hai ik phailti baḌhti ḳhushbu
main huun ik sho.ala-e-tanha ki tarah
tu miri raah men kyuun haa.il hai
ek umDe hue dariya ki tarah
mujh ko ma.alum nahin tha ai dost
tu bhi begana hai duniya ki tarah
duur ufuq-par hai shab pichhle-pahar
koi ubhra ruḳh-e-zeba ki tarah
shahr men chandni ban kar utra
chha gaya nashsha-e-sahba ki tarah
bas tire rang-e-haya ki manind
hu-ba-hu tere sarapa ki tarah
ab kahan pa.unga main naqsh-e-‘jamil’
DhunDhta phirta huun dariya ki tarah
Leave a Reply