dil liya iman liya aur be-sar-o-saman kiya
ye mera kaisa bhara ghar ishq ne viran kiya
ye khuda ki maslahat us ki shikayat kya karen
di buton ko us ne danai hamen nadan kiya
diin aur duniya ke jhagde se jo di mujh ko najat
ye bada ai hazrat-e-ishq aap ne ehsan kiya
ashiqon ko phir qaza aai qayamat ho gai
phir samand-e-naz ko us turk ne jaulan kiya
dekhiye rahti hai kal maqtal men kis ki aabru
aaj phir saffak ne hai nimcha baran kiya
aur ‘aughat’ kya tha mere paas jo karta nisar
hazrat-e-‘varis’ ke sadqe diin aur iman kiya
Leave a Reply