maana mire makan ki halat ḳharab hai
par daulat-e-ḳhulus yahan be-hisab hai
ḳhushbu bikherta huun bikharne ke ba.ad bhi
fitrat zara zara miri misl-e-gulab hai
meri nazar men koi nahin ḳhvar aur zalil
har aadmi jahan men izzat-e-ma.ab hai
mujh ko gurez ahl-e-jahan se nahin magar
hain chand log jin se mujhe ijtinab hai
rakhta nahin huun dil men koi arzu-e-aish
is men huun mutma.in jo mujhe dastiyab hai
shikva na kar jo duur hai apnon se aaj tu
ye tarz-e-zindagi to tira intiḳhab hai
tan se juda hua hai har ik uThne vaala sar
jo jhuk gaya hai aaj vahi kamyab hai
vaqif hai kaun us ke nasheb-o-faraz se
‘anjum’ baḌi kaThin ye rah-e-inqalab hai
Leave a Reply