• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Jis Mein Kho Gaya Hun Mera Khwab Hi To Hai

Main Jis Mein Kho Gaya Hun Mera Khwab Hi To Hai

obaidullah-aleem

main jis men kho gaya huun mira khvab hi to hai

yak do nafas numud sahi zindagi to hai

jalti hai kitni der havaon men mere saath

ik shama phir mire liye raushan hui to hai

jis men bhi dhal gai use mahtab kar gai

mere lahu men aisi bhi ik raushni to hai

parchhaiyon men dubta dekhun bhi mahr-e-umr

aur phir bacha na paun ye bechargi to hai

tu bu-e-gul hai aur pareshan hua huun main

donon men ek rishta-e-avargi to hai

ai khvab khvab umr-e-gurezan ki saato

tum sun sako to baat miri guftani to hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

bichhaD Ke Us Se Abhi Hun Zinda Magar Bahut Pur-Malal Ab Tak

Raaz Mein Rakkhenge Hum Teri Qasam Ai Naseh

poet

Sukun-E-Qalb Mayassar Kise Jahan Mein Hai

poet

Ye Ittifaq Tha Main Us Ka Ham-Zamana Tha

Mat Bura Usko Kaho Garche Wo Achchha Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet