Rah-E-Junun Mein Kabhi Kaamyab Hum Bhi The

rah-e-junūñ meñ kabhī kāmyāb ham bhī the

kabhī havāla-e-dasht-o-sarāb ham bhī the

tirī nigāh ne gauhar banā diyā varna

hisār-e-mauj meñ misl-e-habāb ham bhī the

junūñ ne ham ko bhī baḳhshī thī shān-e-dar-ba-darī

jahān-e-fikr meñ ḳhāna-ḳharāb ham bhī the

hamāre zarf ko rutboñ se tolne vaalo

isī dayār meñ izzat-ma.āb ham bhī the

añdhere ho ga.e mansūb ham se ab varna

is āsmāñ meñ kabhī āftāb ham bhī the

Leave a Comment