jis ne nafrat hi mujhe di na ‘zafar’ pyaar diya
main ne sab kuchh use kyuun haar diya vaar diya
ik nazar nisf nazar shoḳh ne Daali dil par
aur is dasht ko pairaya-e-gulzar diya
vaqt zaa.e na karo ham nahin aise vaise
ye ishara to mujhe us ne ka.i baar diya
zinda rakhta tha mujhe shakl dikha kar apni
kahin ru-posh hua aur mujhe maar diya
koi is baat ko taslim kare ya na kare
sub.h ki sair ne mujh ko dil bimar diya
zardiyan hain mire chehre pe ‘zafar’ us ghar ki
us ne aḳhir mujhe rang-e-dar-o-divar diya
Leave a Reply